Saturday, July 24, 2010

AASHIQIII


! Na jane kyon apno ne muh mod liya.

Kis tarah fir se hum sde rishta tod diya.

Kya itna dil dhukha diya humne aapka?

Jo aapne dheere-dheere humse BAAT karna bhi chod diya..

! MItti ka jism le kar PANI ke ghar mai hu.

Manjil hai MAUT meri , mai har pal safar mai hu.

Hona hai katal mera ye Malum hai mujhe lekin

khabar nahi mai kis-kis ki najar mai hu?

! Spno ke sath DIL lagane ki aadat nahi rahi,

Har waqt Muskrane ki aadat nahi rahi!

Ye soch kar ki koi MANANE nahi aayega,

Ab mujhe ruth jane ki adat nahi rahi!!!

! Tumse door jane ka IRADA na tha,

Sath rahne ka wada bhi nahi tha.

Yaad nahi karoge ye hum jaante the,

Lekin itne jaldi bhool jaoge ye andaja bhi na tha!!

! KOI khwaab in aankhon ne sajaya hi nahi,

Hamare dil ki gahrahi ko koi samajh paya hi nahi

Kisi ko mahsus ho kami hamari Khuda ne hume

aisa banaya hi nahi.!!!!

! Badal gayi wo raah, Lekin hum khoye nahi,

Dard tha dil mai per hum roye nahi,

Koi nahi hamara jo puch le humse

Jag rahe ho kisi ke liye, ya kisi ke liye soye nahi.

! Aaj unko maine khafa kar diya kar diya,

Aisa laga jaise khud se daga kar diya,

Unhe kaise manou sochte rahe Din bhar,

Aaj aansuon neb hi aane se mana kar diya.!!

! Jise Umar bhar chaha,

Kash wo hamara hota.

Khwahishon ka bhi koi kinara hota,

Ye soch kar humne use roka nahi,

Door hi kyon jata agar wo Hamara hota.!

! Na jine ki khusi na marne ka gum,

Gum hai to unse na milne ka gum,

Jeete hain is aas par ki kabhi

Wo hamare ho jayenge,

Marte nahi isliye ki wo akele rah jayenge.

! “Aaj” nahi to kal Mujh per Aitbar hoga,

“ Pathar” ke DIL ko bhi mom se pyar hoga.

Jaa mere DIL mere dost ko mil,

Use mere ane ka intjar hoga.

!! Unko yaad karne ka hisab na aaya,

Meri kisi baat ka jawab na aaya,

Hum jaagte rahe puri raat unke khayalo mai,

Aur unko soker bhi Hamara khwab na aaya!!

Sunday, May 23, 2010

केवल जन कल्याण हेतु प्रसारित


1-यदि कुछ सम्पत्ति खो गयी तो कुछ नहीं खोया
यदि स्वास्थ्य खोया है तो
थोडा कुछ गया
यदि चरित्र खो गया तो सब कुछ खो गया


2-मित्रता करने में शीघ्रता मत करो परन्तु मित्रता करो तो अंत तक निभाओ


3- विश्व की भलाई के लिए स्वांर्थ का त्याग करो